All writings of Mah Laqa Chanda | Rekhta (original) (raw)

Mah Laqa Chanda

gul ke hone kī tavaqqo.a pe jiye baiThī hai

har kalī jaan ko muTThī meñ liye baiThī hai

gul ke hone ki tawaqqoa pe jiye baiThi hai

har kali jaan ko muTThi mein liye baiThi hai

kabhī sayyād kā khaTkā hai kabhī ḳhauf-e-ḳhizāñ

bulbul ab jaan hathelī pe liye baiThī hai

kabhi sayyaad ka khaTka hai kabhi KHauf-e-KHizan

bulbul ab jaan hatheli pe liye baiThi hai

gar mire dil ko churāyā nahīñ tū ne zālim

khol de band hathelī ko dikhā hāthoñ ko

gar mere dil ko churaya nahin tu ne zalim

khol de band hatheli ko dikha hathon ko

tiir o talvār se baḌh kar hai tirī tirchhī nigah

saikḌoñ āshiqoñ kā ḳhuun kiye baiThī hai

tir o talwar se baDh kar hai teri tirchhi nigah

saikDon aashiqon ka KHun kiye baiThi hai

ba-juz haq ke nahīñ hai ġhair se hargiz tavaqqo kuchh

magar duniyā ke logoñ meñ mujhe hai pyaar se matlab

ba-juz haq ke nahin hai ghair se hargiz tawaqqo kuchh

magar duniya ke logon mein mujhe hai pyar se matlab

Deewan-e-Mah Laqabai Chanda

Urdu Ka Classicy Adab

Mah Laqa

mah Laqa Bai Chanda Ki Zindagi Aur Uska Kalam

1959

Mah-e-laqa

Halat-e-Zindagi Ma Deewan

1998

aalam teri nigah se hai sarshaar dekhna

basant aai hai mauj-e-rang-e-gul hai josh-e-sahba hai

dil ho gaya hai gham se tere daghdar KHub