Historic First Paralympic Gold Medalist Murlikant Petkar Ko Arjuna Award (original) (raw)
Sports Ministry ne kuchh aur corrections karte huye para-swimmer Murlikant Rajaram Petkar ko Arjuna Award (lifetime) se sammanit kiya, jo Paralympic Games me India ke first gold medalist the. Unhe ye prestigious award Germany ke Heidelberg me country ke liye history create karne ke 52 Saal baad diya gaya hai.
Indian Army ke Electronics and Mechanical Engineers (EME) Corps ke ak soldier, Petkar ko ak gambhir chot lagi, jisse unhe Paraplegic ki problem ho gayi, toh unhone Germany ke Heidelberg me 1972 ke Paralympic Games me men’s 50m freestyle swimming me gold medal jeeta and Olympic or Paralympic Games me individual gold medal jeetne wale first Indian bane.
Pakistan ke saath 1965 ke war ke time Srinagar me army camp par huye attack me ghayal huye Petkar ne gold medal jeetne ke dauraan 3 world record banayr, lekin lagabhag half century tak Sports mein excellence ke liye Arjuna Award paane mein fail rahe, kyunki un dinon para-games ko jyada importance nahi milti thi.
Ab, 80 saal ke Petkar 17 January, 2025 ko Rashtrapati Bhavan mein specially organised function mein India ki President Draupadi Murmu se apna award praapt karenge.
Petkar ko 2018 mein Padma Shri se sammaanit kiya gaya tha.
Legendary para-swimmer ki achievements decades tak unknown rahi kyunki un dinon para-sports ko public and government se jada recognition nahi mil paai thi aur facilities and support bahut kam the. In hurdles ke baavajood, Petkar ne gold medal jeeta.
Sports mein all-rounder player, para-swimming mein glory achieve karne se pahle multiple events and disciplines mein participate karne waale Petkar disable hone se pahle country ke top boxer banna chahte the. Injury ke baad aur disable hone se kuchh month pahle hi unhone Japan mein Military Games mein boxing mein gold medal jeeta tha.
Petkar ne 1968 & 1972 ke Paralympic Games mein India ko represent kiya. Mexico mein 1968 ke Paralympic Games mein unhonne para-table tennis mein participate kiya aur second round mein pahunche. 1972 mein swimming ke alaava Petkar ne javelin throw, precision javelin throw aur slalom mein bhi participate kiya aur teeno events mein finalist bhi rahe.
TELCO se retire hone ke baad wo Pune mein retired life jee rahe hain, jahan unke bete Arjuna Murlikant Petkar Army mein hain.
Indian Swimming News Or International Swimming News Padhne Ke Liye Facebook Par Swimswam Hindi Ko Like Karna Na Bhule:-SwimSwamHindi